Skull Caps

On Mauzis, Madrasas and Mindsets

Archive for January 4th, 2010

Let’s nurture a dream…

Posted by arshadamanullah on January 4, 2010

Aao ke ik khwaab buneN kal ke wastay

Warna ye raat, aaj ke sangeen daur ki

Das legi jaano dil ko aisay, ke jaano dil

Ta umr fir na koi hasiN khwaab bun sakeN

***********************************

Go ham se bhaagti rahi ye tez gaam umr

KhwaaboN ke aasray pe kati hai tamaam umr

************************************

ZulfoN ke khwaab, hotoN ke khwaab aur badan ke khwab

Meraje fan ke khwaab, kamale sukhan ke khwaab

Tahzeebe zindagi ke, faroghe watan ke khwaab

ZindaN ke khwab, kucha-e daro resan ke khwaab

************************************

Ye khwaab hi to apni jawaani ke paas thay

Ye khwaab hi to apne  amal ki asaas thay

Ye khwaab mar gaye haiN to be-rang hai hayaat

YuN hai ke jaise daste tahe sang hai hayaat

************************************

Aao ke ik khwaab buneN kal ke wastay

Warna ye raat, aaj ke sangeen daur ki

Das legi jaano dil ko aisay, ke jaano dil

Ta umr fir na koi hasiN khwaab bun sakeN

(A poem by: Saahir Ludhyanvi)

Posted in Poetry | Leave a Comment »